ye aur baat hai tujh se gila nahin karte 
jo zakhm tu ne diye hain bhara nahin karte 

hazar jaal liye ghumti phire duniya 
tire asiir kisi ke hua nahin karte 

ye ainon ki tarah dekh-bhal chahte hain 
ki dil bhi TuTen to phir se juDa nahin karte 

vafa ki aanch sukhan ka tapak do in ko 
dilon ke chaak rafu se sila nahin karte 

jahan ho pyaar ġhalat-fahmiyan bhi hoti hain 
so baat baat pe yuun dil bura nahin karte 

hamen hamari anaen tabah kar dengi 
mukalme ka agar silsila nahin karte 

jo ham pe guzri hai janan vo tum pe bhi guzre 
jo dil bhi chahe to aisi dua nahin karte 

har ik dua ke muqaddar men kab huzuri hai 
tamam ghunche to 'amjad' khila nahin karte 

tum apne aqidon ke neze 
har dil men utare jaate ho 

ham log mohabbat vaale hain 
tum ḳhanjar kyuun lahrate ho 

is shahr men naġhme bahne do 
basti men hamen bhi rahne do 

ham palanhar hain phulon ke 
ham ḳhushbu ke rakhvale hain 

tum kis ka lahu piine aa.e 
ham pyaar sikhane vaale hain 

is shahr men phir kya dekhoge 
jab harf yahan mar ja.ega 

jab teġh pe lai kaT ja.egi 
jab sher safar kar ja.ega 

jab qatl hua sur sazon ka 
jab kaal paḌa avazon ka 

jab shahr khanDar ban ja.ega 
phir kis par sang uThaoge 

apne chehre a.inon men 
jab dekhoge Dar jaoge