justujū jis kī thī us ko to na pāyā ham ne
is bahāne se magar dekh lī duniyā ham ne
sab kā ahvāl vahī hai jo hamārā hai āj
ye alag bāt ki shikwa kiyā tanhā ham ne
ḳhud pashīmān hue, na use sharminda kiyā
ishq kī vaz.a ko kyā ḳhub nibhāyā ham ne
kaun sā qahr ye āñkhoñ pe huā hai nāzil
ek muddat se koī ḳhvāb na dekhā ham ne
umr bhar sach hī kahā, sach ke sivā kuchh na kahā
ajr kyā is kā milegā ye na sochā ham ne