UnhiN ko raah e talab khaar daar di gayi hai

Woh jin ko mamlekat e aetebaar di gayi hai

Zara si der to solein yeh ahl e dil K inhein

Bahut taveel shab e intezaar di gayi hai

Gaye dinoN meN hamara tha Qasr e khush aasaar

Ab apne naam ki takhti utaar di gayi hai

Lahoo lahaan ujaaloN ka din dhalaa aakhir

Siyaah, karb-zada shab guzaar di gayi hai

Hamaare paas tha kya khaab, woh to toot gaya

Ek aur cheez thi jaaN, tujh per waar di gayi hai

Hamaari dasht navardi ko ek fasaane mein

Bashaarat e shajar e saaya daar di gayi hai

Bas ek khyaal hai taskeen E jaaN hamare liye
Zamane bhar se koi bad gumaaN hamare liye

Jo tera lams mile to khule yeh baab E wajood
Aur is mein ho tu kabhi mayhmaaN hamare liye

Hum us pe khaab ki soorat utarne waale hain
Sajaye aaNkh mein wo kahkashaaN hamare liye

Udaas hochuke lamhoN mein rang bharti hui
Hawaaye shaam hai na-mehrbaaN hamare liye

Nateejatan hamaiN mahroom e khaab hona paRa
HaqeeqatoN ne kaRe imtehaaN hamare liye

Udaas rut mein  basad ehtemaam  aagaye hain
In aaNsuoN ko  saleeqay tamaam aagaye hain

Agar  na laut ke aayeN  to yeh  samajh lenaa
K hum bhi jung-e-muhabbat mein kaam aagaye hain

Pukaarti hai hamain  saahiloN se aati hawaa
K likh ke ret pe, teraa jo naam aagaye hain

Ajeeb rog laga hum ko sair E mahfil ka
So maikaday ki taraf ek shaam aagaye hain

Bus ek hum hain sabhi darja-bandiyoN se paray
Wagarna bazm mein sab khaas o aam aagaye hain

Bahte daryaa meN utar jana tha
Khaak the aur bikhar jana tha

Us se bichhRe to zamaanaa beeta
Ab talak zakhm ko bhar jana tha

Maan letaa huN tujhe hi manzil!!
Ab kahaaN yaad kidhar jana tha

Hausle ham ne bachakar rak_khe
Jab hameN had se guzar jana tha

Jaan !!! is hijr pe ronaa kaisa!!!
Ek din yuN bhi to mar jana tha