Dekh lo Khwab magar Khwab ka charcha na karo.
Log jal jayenge sooraj ki tamanna na karo.
Waqt ka kya hai kisi pal bhi badal sakata hai.
Ho sake tum se to tum mujh pe bharosa na karo.
Kirchiya.N Toote huye aks ki chubh jayengi.
Aur kuch roz abhii aaina dekha na karo.
Ajanabi lagane lage Khud tumhen apana hi wajood.
Apane din raat ko itana bhi akela na karo.
Khwab bachon ke khilaunon ki tarah hote hain.
Khwab dekha na karo Khwab dikhaya na karo.
Be Khayali mein kabhi ungaliya.N jal jaayengi.
Rakh guzare hue lamhon ki kureda na karo.
Mom ke rishte hain garmii se pighal jaayenge.
Dhoop ke shahar mein Wafa ki tamnna na karo...

Baat nikle gi to phir door talak jaye gi
log bewaja udasi ka sabab poochen ge
yeh bhi poochen ge ke tum itni pareshaan kyun ho
ungleyaan utthen gi sookhe howe baalon ke taraf
ik nazar jayegi  guzre howe saaloon ke taraf
choreyon pe bhe kayi tanz keye jayeen ge
kaampte hathoon pe bhe fiqrey kase jayen ge
loog zalim hen her baat ka tana den ge
batoon batoon me mera ziker bhe le aayen ge
un ki baton ka zara sa bhi asar mat lena
werna chehre ke taAsur se samjh jayeen ge
chahe kuch bhi ho savalaat na kerna un se
mere baare me koi baat na kerna un se
Kafeel Aazar

Baat Niklegi To Phir Live-Jagjit Singh