Dil markaz-e-hijab banaya na jayega
Un se bhi raz-e-ishq chhupaya na jayega

Sar ko kabhi qadam pe jhukaya na jayega
un ke nuqush-e-pa ko miTaya na jayega

Be-wajah intizar dikhane se fayeda
Kah dijiye ki samne aaya na jayega

Ankhon men ashk qalb pareshan nazar udaas
Is tarah un ko chhoḌ ke jaaya na jayega

Wo ḳhud kahen to sharh-e-mohabbat bayan karun
Naġhma baġhair saaz sunaya na jayega

Behtar yahi hai zikr-e-mohabbat na chheḌiye
Naqsha bigaḌ gaya to banaya na jayega

Dil ki taraf "shakeel" tawajjoh zarur ho
Ye ghar ujaḌ gaya to basaya na jayega

"دل مرکز حجاب بنایا نہ جائے گا

ان سے بھی راز عشق چھپایا نہ جائے گا

سر کو کبھی قدم پہ جھکایا نہ جائے گا

ان کے نقوش پا کو مٹایا نہ جائے گا

بے وجہ انتظار دکھانے سے فائدہ

کہ دیجئے کہ سامنے آیا نہ جائے گا

آنکھوں میں اشک قلب پریشان نظر اُداس

اس طرح ان کو چھوڑ کے جایا نہ جائے گا

وہ خود کہیں تو شرح محبت بیان کروں

نغمہ بغیر ساز سنایا نہ جائے گا

بہتر یہی ہے ذکرِ محبت نہ چھیڑیے

نقشہ بگڑ گیا تو بنایا نہ جائے گا

دل کی طرف 'شکیل' توجہ ضرور ہو

یہ گھر اُجڑ گیا تو بسایا نہ جائے گا"

aiy mohabbat tire anjaam pe ronaa aayaa
jaane kyuu.n aaj tere naam pe ronaa aayaa
yu.n to har shaam ummido.n me.n guzar jaati hai
aaj kuchh baat hai jo shaam pe ronaa aayaa
kabhi taqdeer kaa maatam kabhi duniyaa kaa gila
manzil-e-ishq me.n har gaam pe ronaa aayaa
mujh pe hi KHatm hua silsila-e-nauhagarii
is qadar gardish-e-ayyaam pe ronaa aayaa
jab hua zikr zamaane me.n masarrat kaa shakeel
mujh ko apne dil-e-naakaam pe ronaa aayaa

aiy ishq ye sab duniyaa waale be-kaar ki baaten karte hain
paael ke Ghamon kaa ilm nahin jhankaar ki baate.n karte hai.n
har dil me.n chhpaa hai teer koi har paa.nv me.n hai zanjir koi
puchhe koi in se Gham ke maze jo pyar ki baate.n karte hai.n
ulfat ke naye diwaano.n ko kis tarah se koi samjhaaye
nazro.n pe lagi hai paabandi deedaar ki baate.n karte hai.n
bha.nvre hai.n agar madhosh to kyaa parwaane bhi hai.n KHaamosh to kyaa
sab pyar ke naGhme gaate hai.n sab yaar ki baate.n karte hai.n

ai mohabbat tere anjaam pe rona aya
jane kyon aaj tere naam pe ronaa aya
yuN to har shaam ummidon men guzar jati thi
aaj kuchh baat hai jo shaam pe rona aya
kabhi taqdir ka maatam kabhii duniya ka gila
manzil-e-ishq men har gaam pe rona aya
jab hua zikr zamaane men mohabbat ka 'Shakeel'
mujh ko apne dil-e-nakaam pe rona aya
Shakeel Badayuni

mere ham-nafas, mere ham-nava, mujhe dost banake daGhaa na de
main huN dard-e-ishq se jaaN_valab, mujhe zindagi ki duaa na de
mere daaGh-e-dil se hai raushani, usi raushani se hai zindagi
mujhe Dar hai aye mere chaaraagar, ye charaaGh tu hi bujha na de
mujhe chho.D de mere haal par, teraa kyaa bharosaa hai chaaraagar
ye teri nawaazish-e-muKhtasar, meraa dard aur baDhaa na de
meraa azm itanaa buland hai ke paraaye sholon kaa Dar nahin
mujhe Khauf aatish-e-gul se hai, ye kahin chaman ko jalaa na de
wo uThe hain leke hom-o-subuu, arey o 'Shakeel' kahaa.N hai tu
teraa jaam lene ko bazm men koi aur haath baDhaa na de
Shakeel Badayuni