ai mohabbat tere anjaam pe rona aya
jane kyon aaj tere naam pe ronaa aya
yuN to har shaam ummidon men guzar jati thi
aaj kuchh baat hai jo shaam pe rona aya
kabhi taqdir ka maatam kabhii duniya ka gila
manzil-e-ishq men har gaam pe rona aya
jab hua zikr zamaane men mohabbat ka 'Shakeel'
mujh ko apne dil-e-nakaam pe rona aya
Shakeel Badayuni