Har waqt ka hasnaa tujhe barbaad na kar de, Tanhaayi ke lamhon mein kabhi ro bhi liya kar,
Aye dil! tujhe dushman ki bhi pehchaan kahan, Tu halqa-e-yaraan* mein bhi mohtaat* raha kar..
(halqa-e-yaraan;around friends, mohtaar;cautious)
saare jahaa.N se achhaa hindustaan hamaaraa
ham bulbule.n hai.n is ki ye gulistaa.N hamaaraa
Ghurbat me.n ho.n agar ham rahtaa hai dil vatan me.n
samajho vahi.n hamein bhi dil ho jahaa.N hamaaraa
parvat wo sab se uuNchaa ham_saayaa aasmaa.N kaa
wo santari hamaaraa wo paasabaa.N hamaaraa
godi me.n khelti hai.n is ki hazaaro.n nadiyaa.N
gulshan hai jin ke dam se rashk-e-janaa.N hamaaraa
ai aab-e-ruud-e-gangaa wo din hai yaad tujh ko
utraa tere kinaare jab kaarawaa.N hamaaraa
mazhab nahi.n sikhaataa aapas me.n bair rakhnaa
hindi hai.n ham watan hai hindustaa.N hamaaraa
yunaan-o-mishr-o-romaa sab miT gaye jahaa.N se
ab tak magar hai baaqi naam-o-nishaa.N hamaaraa
kuchh baat hai ki hasti miTti nahi.n hamaari
sadiyo rahaa hai dushman daur-e-zamaa.N hamaaraa
'Iqbal' ko_i maharam apnaa nahi.n jahaa.N me.n
maalum kyaa kisi ko dard-e-nihaa.N hamaaraa
pattaa-pattaa booTa booTa haal hamara jaane hai
jaane na jaane gul hi na jaane, baaGh to saara jaane hai
lagne na de bas ho to us ke gauhar-e-gosh ke baale tak
us ko falak chashm-e-mai-o-Khor ki titli kaa taara jaane hai
aage us mutaqabbar ke ham Khuda Khuda kiyaa karte hain
kab maujuud Khudaa ko vo maGhroor Khud-aara jaane hai
aashiq saa to saadaa koi aur na hoga duniyaa men
jii ke ziaan ko ishq men us ke apanaa vaaraa jaane hai
chaaraagarii bimaari-e-dil ki rasm-e-shahar-e-husn nahin
varnaa dilabar-e-naadaan bhi is dard kaa chaaraa jaane hai
kyaa hi shikaar-farebi par maGaruur hai vo sayyad bachchaa
ta'er u.Date havaa men saare apani usaaraa jaane hai
mehar-o-vafaa-o-lutf-o-inaayat ek se vaaqif in men nahin
aur to sab kuchh tanz-o-kanaayaa ramz-o-ishaaraa jaane hai
kyaa kyaa fitane sar par usake laataa hai maashuuq apanaa
jis bedil betaab-o-tavaan ko ishq kaa maaraa jaane hai
aashiq to murdaa hai hameshaa ji uThataa hai dekhe use
yaar ke aa jaane ko yakaayak umr do baaraa jaane hai
raKhanon se diwaar-e-chaman ke muunh ko le hai chhipaa ya'ani
un suraaKhon ke Tuk rahane ko sau kaa nazaaraa jaane hai
tashnaa-e-Khuun hai apanaa kitanaa 'Mir' bhi naadaan talKhikash
dam_daar aab-e-teG ko us ke aab-e-gavaaraa jaane hai
Muhaasra – Nazam | Ahmed Faraz | mere ghanim ne mujh ko payam bheja hai
ki halqa-zan hain mere gird lashkari us ke
fasil-e-shahr ke har burj har manare par
kaman-ba-dast sitada hain askari us ke
Sitare Jo Damakte Hain Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein
Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein
Mulaqaten Jo hoti Hain
Jamal-e-Abr-o-Baran Mein
Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare
Warna To Tere Aeib Bhi Maloom Hain Saare
Sub Jurm Meri Zaat Se Mansoob Howy "Mohsin"
Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare
KHwab ki tarah bikhar jaane ko ji chahta hai
aisi tanhai ki mar jaane ko ji chahta hai
ghar ki vahshat se larazta huun magar jaane kyuun
shaam hoti hai to ghar jaane ko ji chahta hai
Chalo ab aisa karte hain sitaarey baant lete hain
Zarurat ke mutabiq hum saharey baant lete hain.
Mohabat karne walon ki tijaarat bhi anokhi hai,
Munaafa chhor detey hain khasaarey baant lete hain.
ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasana hai
simTe to dil-e-ashiq phaile to zamana hai
ye aur baat hai tujh se gila nahin karte
jo zakhm tu ne diye hain bhara nahin karte
Mat qatl karo awaz ko
har dil men utare jaate ho
ham log mohabbat vaale hain
tum ḳhanjar kyuun lahrate ho
Ab kahan dhoondhne jaoge hamaare Qaatil
Aap to qatl ka ilzaam hami par rakh do
Hum Dekhenge, Hum Bhi Dekhenge
Wo din ki jis ka vaada hai
Tu Shaheen hain Basera Kar Pahadon ki Chattano Par
Tu Shaheen Hai, Basera Kar Paharon Ki Chatanon Mein
Hasbi rabbi jallallah ma fi qalbi ghairullah
Noor-e-Muhammad sallalla laailaha illallah
In Barishon Se Dosti Achi Nahi FARAZ,
Kacha Tera Makan Hai Kuch To Khayal kar.
Kisi ke baap ka HINDUSTAN thodi hai
Kiraaye daar hain zaati makaan thodi hai,
Tere Ishq Ki Intaha Chahta Hun (Bang-e-Dra)
Meri Sadgi Dekh Kya Chahta Hoon