vafaa ke Khaab muhabbat kaa aasra le jaa
agar chalaa hai to jo kuchh mujhe diyaa le jaa
maqaam-e-sood-o-ziyaa.N aa gayaa hai phir jaanaa.N
ye zaKhm mere sahi, teer to uThaa le jaa
yahi hai qismat-e-saharaa yahi karam teraa
ki bu.Nd bu.Nd ataa kar ghaTaa ghaTaa le jaa
Guroor-e-dost se itanaa bhi dil_shikastaa na ho
phir uTh ke saamane daaman-e-iltajaa le jaa
nadaamate.n ho.n to sar baar-e-dosh hotaa hai
'Faraz' jaa.N ke evaz aabaru bachaa le jaa
Ahmad Faraz

Jab se tu ne mujhe deewana bana rakha hai
Sang har shaks ne haathon mein utha rakha hai
Us ke dil per bhi kari ishq mein guzri hogi
Naam jis ne bhi muhabbat ka saza rakha hai
Pattharoo aaj mere sir pe barastay kyon ho
Mein ne tum ko bhi kabhi apna Khuda rakha hai
Ab meri deeed ki duniya bhi tamashaee hai
Tu ne kya mujh ko muhabbat mein bana rakha hai
Pee jaa ayyam ki talkhee ko bhi hans ke Nasir
Gham ko sehnay mein bhi kudrat ne maza rakha hai
Nasir Kazmi

misaal iski kahaa.N hai zamaane me.n
ki saare khone ke Gam paaye hamne paane me.n
vo shakl pighli to har shai me.n Dhal gai jaise
ajib baat hui hai use bhulaane me.n
jo muntazir na milaa vo to ham hai sharmindaa
ki hamne der lagaa dii palaT ke aane me.n
latif tha vo taKhaiyyul se, Khvaab se naazuk
gavaa diyaa hamne hi use aazmaane me.n
samajh liyaa thaa kabhi ek sairaab ko dariyaa
par ek sukuun thaa hamako fareb khaane me.n
jhukaa daraKht havaa se, to aa.Ndhiyo.n ne kahaa
ziyaadaa farq nahi.n jhuk ke TooT jaane me.n

ham to bachpan men bhi akele the
sirf dil ki gali men khele the
ek taraf morche the palkon ke
ek taraf aaNsuon ke rele the
thi saji hasrate.n dukaano par
zindagi ke ajib mele the
aaj zehan-o-dil bhuko.n marte hai.n
un dino.n faake bhi ham ne jhele the
Khud-kashi kyaa Gamo.n ka hal banati
maut ke apane bhi sau jhamele the

Javed Akhtar

ab main ration ki kataRon mein naZar aata hooN
apne khetoN se bichchaDne ki saza paata hooN
itnee menhgaayee ke bazaar se kuch laata hooN
apne bachchoN meiN us'se baanT ke sharmaata hooN
apnee neendo ki lahoo pochne ki koshish meiN
jaagte jaagte, thak jaata hooN so jaata hooN
koi chaadar samaJh ke kheench na le fir se "Khaleel"
maiN qafan oDh kar foot-paath pe so jaata hooN
 

Chand tanha hai aasman tanha
Dil mila hai kahan kahan tanha
Bujh gayee aas chchup gya tara
Tharthrata raha dhuaaN tanha
Zindagi kya usi ko kahte hain
Jism tanaha hai aur jan tanha
Jalti bujhti si raushni k  parde
Simta simta sa ek makan  tanha
Raah dekha karegeN SadiyoN tak
Chor jayenge ye jahan tanha
Meena Kumari

kuu-ba-kuu phail gai baat shanaasaai ki
us ne Khushbuu ki tarah meri paziraai ki
kaise kah duuN ki mujhe chhoD diyaa hai us ne
baat to sach hai magar baat hai rusvaai ki
vo kahin bhi gayaa lauTaa to mere paas aayaa
bas yahi baat hai achchhi mere harajaai ki
teraa pahalu tere dil ki tarah aabaad rahe
tujh pe guzare na qayaamat shab-e-tanhaai ki
us ne jalati hui peshaani pe jo haath rakhaa
ruuh tak aa gai taasir masihaai ki
Perveen Shakir

Muhaasra – Nazam | Ahmed Faraz | mere ghanim ne mujh ko payam bheja hai

mere ghanim ne mujh ko payam bheja hai
ki halqa-zan hain mere gird lashkari us ke

fasil-e-shahr ke har burj har manare par
kaman-ba-dast sitada hain askari us ke

Sitare Jo Damakte Hain Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein

Sitare Jo Damakte Hain
Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein

Mulaqaten Jo hoti Hain
Jamal-e-Abr-o-Baran Mein

Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare

Shayed Yeh Zarf Hai Jo Khamosh Hun Ab Tak
Warna To Tere Aeib Bhi Maloom Hain Saare

Sub Jurm Meri Zaat Se Mansoob Howy "Mohsin"
Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare

KHwab ki tarah bikhar jaane ko ji chahta hai

khvab ki tarah bikhar jaane ko ji chahta hai 
aisi tanhai ki mar jaane ko ji chahta hai 

ghar ki vahshat se larazta huun magar jaane kyuun 
shaam hoti hai to ghar jaane ko ji chahta hai 

Chalo ab aisa karte hain sitaarey baant lete hain

Chalo ab aisa karte hain sitaarey baant lete hain.
Zarurat ke mutabiq hum saharey baant lete hain.

Mohabat karne walon ki tijaarat bhi anokhi hai,
Munaafa chhor detey hain khasaarey baant lete hain.

ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasana hai

ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasana hai
simTe to dil-e-ashiq phaile to zamana hai

ye aur baat hai tujh se gila nahin karte 

ye aur baat hai tujh se gila nahin karte 
jo zakhm tu ne diye hain bhara nahin karte 

Mat qatl karo awaz ko

tum apne aqidon ke neze
har dil men utare jaate ho

ham log mohabbat vaale hain
tum ḳhanjar kyuun lahrate ho

Ab kahan dhoondhne jaoge hamaare Qaatil

Ab kahan dhoondhne jaoge hamaare Qaatil
Aap to qatl ka ilzaam hami par rakh do

Hum Dekhenge, Hum Bhi Dekhenge

Laazim hai ke hum bhi dekhenge
Wo din ki jis ka vaada hai

Tu Shaheen hain Basera Kar Pahadon ki Chattano Par

Nahin Tera Nasheman Qasr-e-Sultani Ke Gunbad Par
Tu Shaheen Hai, Basera Kar Paharon Ki Chatanon Mein

Hasbi rabbi jallallah ma fi qalbi ghairullah

Hasbi rabbi jallallah ma fi qalbi ghairullah
Noor-e-Muhammad sallalla laailaha illallah

In Barishon Se Dosti Achi Nahi FARAZ,

In Barishon Se Dosti Achi Nahi FARAZ,
Kacha Tera Makan Hai Kuch To Khayal kar.

Kisi ke baap ka HINDUSTAN thodi hai

Jo aaj sahib-e-masnad hai kal nahi honge,
Kiraaye daar hain zaati makaan thodi hai,

Tere Ishq Ki Intaha Chahta Hun (Bang-e-Dra)

Tere Ishq Ki Inteha Chahta Hoon
Meri Sadgi Dekh Kya Chahta Hoon