apne haathon ki lakiron men basa  le mujhko
main huN teraa nasib apnaa bana le mujhko
mujhse tu puchhne aya hai wafa ke maani
ye teri sada-dili maar na Daale mujhko
main samandar bhi huN moti bhi huN Gotazan bhi
koi bhi naam meraa leke bula le mujhko
tune dekha nahi aaine se aage kuchh bhi
Khudaparasti men kahin tu na gaNva le mujhko
kal ki baat aur hai main ab saa rahuN yaa na rahuN
jitnaa ji chaahe teraa aaj sata le mujhko
Khud ko main baaNT na DaaluN kahii.n daaman-daaman
kar diyaa tune agar mere havale mujhko
main jo kaaNTa huN to chal mujh se bachakar daaman
main huN gar phool to juDe men saja le mujhko
main khule dar ke kisi ghar kaa huN saamaN pyaare
tu dabe paaNv kabhi aake chura le mujhko
tark-e-ulfat ki qasam bhi koi hoti hai qasam
tu kabhi yaad to kar bhulnewaale mujhko
baadaa phir baadaa hai mai.n zahar bhi pi jaauN "Qateel"
shart ye hai koi baahon mein sambhale mujhko
Qateel Shifayee

Writer