sundar komal sapanon kii baaraat guzar ga_ii jaanaaN
dhuup aaNkhon tak aa pahuNchii hai raat guzar ga_ii jaanaaN
bhor samay tak jis ne hamen baaham ulajhaaye rakhaa
vo albelii resham jaisii baat guzar ga_ii jaanaaN
sadaa kii dekhii raat hamen is baar milii to chup ke se
Khaalii haath pe rakh ke kyaa sauGaat guzar ga_ii jaanaaN
kis konpal kii aas men ab tak vaise hii sar-sabz ho tum
ab to dhuup kaa mausam hai barasaat guzar ga_ii jaanaaN
log na jaane kin raaton kii muuraaden maaNgaa karate hain
apanii raat to vo jo tere saath guzar ga_ii jaanaaN
Perveen Shakir