ye kyaa ke sab se bayaaN dil ki haalaten karni
'Faraz' tujh ko na aain muhabbaten karani
ye qurb kyaa hai ke tu saamne hai aur hamen
shumaar abhi se judaai ki sa'aten karani
koi Khuda ho ke patthar jise bhii ham chahen
tamaam umr usi ki ibaadaten karani
sab apne apne qarine se muntazir us ke
kisi ko shukr kisi ko shikaayaten karani
ham apne dil se hain majboor aur logon ko
zaraa sii baat pe barpaa qayaamaten karni
milen jab un se to mub-ham sii guftaguu karna
phir apne aap se sau-sau vazaahaten karani
ye log kaise magar dushmani nibhaaten hain
hamiin ko raas na aain muhabbaten karani
kabhii 'Faraz' naye mausamon men ro denaa
kabhii talaash puraanii raqaabaten karani
Ahmad Faraz

Writer