mushkil hai ab shahar men nikle koi ghar se
dastaar pe baat aa gai hai hoti hui sar se
barsaa bhi to kis dasht ke befaiz badan par
ik umr mere khet the jis abr ko tarse
is baar jo indhan ke liye kaT ke giraa hai
chiDyon ko baDaa pyaar thaa us buDhe shajar se
mehnat meri aaNdhi se to mansoob nahi thi
rahnaa tha koi rabt shajar ka bhi samar se
Khud apne se milne kaa to yaraa na tha mujh men
main bhiD men gum ho gai tanhai ke Dar se
benaam musafat hi muqaddar hai to kyaa Gam
manzil kaa ta'yyun kabhi hotaa hai safar se
patthraya hai dil yuN ki koi ism paDhaa jaaye
ye shahar nikalta nahin jadu ke asar se
nikle hain to raste men kahin shaam bhi hogi
suraj bhi magar aayegaa is raah-guzar se
Parveen Shakir