Chupke chupke raat din aaNsu bahaana yaad hai
Hum ko abtak aashiqi ka wo zamaana yaad hai
Ba-hazaraaN izteraab O sad hazaaraaN ishtiyaaq
Tujh se wo pahle pehal, dil ka lagaana yaad hai
Baar baar uThna usi janib nigaah E shouq ka
Aur tera ghurphe se wo, aankheN laRaana yaad hai
Tujh se kuch milte hi wo bebaak ho jana mera
Aur tera danton men wo ungli dabaana yaad hai
KhaiNch lena wo mera parde ka kona daf’a-atan
Aur dupatte se tera wo muNh chupaana yaad hai
Jaan kar sota tujhe woh qasd E pa-bosi mera
Aur tera thukra k sar, wo muskuraana yaad hai
Tujhko jab tanha kabhi pana to az-raah-E-lehaaz
Haal E dil batooN hi batoon men jataana yaad hai
Ghair ki nazroN se bach kar, sab ki marzi k khilaaf
Wo tera chori chhupe ratoN ko aanaa yaad hai
Aa gaya gar wasl ki shab bhi kahiN zikr E firaaq
Woh tera ro ro k mujhko bhi rulaana yaad hai
Do-pahar ki dhoop meN mere bulane ke liye
Woh tera koThe pe nange paoN aana yaad hai
Aaj tak nazroN men hai wo sohbat E raz O neyaz
Apna jaana yaad hai, tera bulaana yaad hai
Mithi mithi cheR kar baateN niraali pyaar ki
Zikr dushman ka wo batoN men uRaana yaad hai
Dekhna mujhko jo barghushta to sau sau naaz se
Jab mana lena to phir, kud rooTh jaana yaad hai
Chori chori hum se tum aa kar mile the jis jagah
MuddateiN guzriN par ab tak wo thikaana yaad hai
Shauq men menhdi k wo be-dast-o-pa hona tera
Aur mera wo chheRna, wo gudgudana yaad hai
Ba-wajood E iddaaye itteqa ‘Hasrat’ mujhe
Aaj tak ahd E hawas ka wo fasaana yaad hai

Writer