gulo me rag bhare baad-e-nau-bahaar chale
chale bhi aao ke gulshan ka kaar-o-baar chale
qafas udas hai yaro saba se kuchh to kaho
kahi to bahar-e-khuda aaj zikr-e-yaar chale
kabhi to subh tere kunj-e-lab se ho aagaz
kabhi to shab sar-e-kaakul se mushkabar chale
bada hai dard ka rishta ye dil garib sahi
tumhare naam pe ayege gam-gusaar chale
jo ham pe guzari so guzari magar shab-e-hijraan
hamare ashk teri aakabat sanwar chale
huzur-e-yaar hui daftar-e-junun ki talab
girah me le ke gireban ka tar tar chale
makaam 'faiz' koi raah me jancha hi nahi
jo ku-e-yaar se nikale to su-e-daar chale
By : Faiz Ahmad Faiz
Writer