ik muamma hai samajhne ka na samjhaane ka
zindagii kahe ko hai Khvaab hai deevane ka
zindagi bhi to pashemaan hai yaha lake mujhe
dhundhatii hai koi hila mere mar jaane ka
haddiyaaN hai kai lipTi hui zanjiron me
liye jaate hai janaaza tere deevane ka
tum ne dekha hai kabhi ghar ko badalte hue rang
aao dekho na tamashaa mere ghum_Khane ka
ab ise dar pe leja ke sula de saqi
yu behaknaa nahi achcha tere deevane ka
hum ne chaani hai bahut dair-o-haram ki galiyaan
kahi payaa na Thikana tere deevane ka
har nafas umr-e-guzashta ki hai mayyat “Fani”
zindagi naam hai mar mar ke jiye jaane ka
By : Fani Badayuni

Writer