KaruN na yaad agar kis tarah bhulauN use
Ghazal bahana karuN aur gungunauN use
Wo Khaar-Khaar hai shaaKh-e-gulaab ki maanind
Main zaKhm-zaKhm huN phir bhi gale lagauN use
Ye log tazkare karte hain apne logon se
Main kaise baat karuN aur kahaaN se lauN use
Magar wo zudfaraamosh zud ranj bhi hai
ke rooTh jaaye agar yaad kuchh dilauN use
Wahi jo daulat-e-dil hai wahi jo raahat-e-jaaN
Tumhaari baat pe ai naasiho gaNvauN use
Jo hamsafar sar-e-manzil bichhaD rahaa hai 'Faraz'
Ajab nahin ki agar yaad bhi na aauN use

Writer