Kaha tak jafa husn-waalon ki sahte
Jawaani jo rehti to phir ham na rahte
Zamana Bada shauq se sun raha tha
Ham hi so gaye dastaan kehte kehte
Nasheman na jalta nishaani to rehti
Hamara tha kya theek rahte na rahte
Meri nao is gham ke darya mein ‘Saqib’
Kinaare pe aa hi lagi behte behte
Saqib Lakhnawi