Qurbaton me bhi judai ke zamaane maange, Dil woh be-mehr ke rone ke bahane maange,
Hum na hote to kisi aur ke charche hote, Halqat-e-shehr to kehne ko fasaane maange,
Yehi dil tha ke tarassta tha maraasim ke liye, Ab yehi tark-e-talluq ke bahaane maange,
Apna yeh haal ke jee haar chuke lutt bhi chuke, Aur mohabbat wohi andaaz puraane maange,
Zindagi hum tere daaghon se rahe sharminda, Aur tu hai ke sadaaa aayina-khaane maange,
Dil kisi haal pe qaane hi nahin jaane faraz, Mil gaye tum bhi to kya aur na jaane maange..

Writer