ye kyaa jagah hai dosto ye kaun saa dayaar hai
hadd-e-nigaah tak jahaa.n Ghubaar hi Ghubaar hai
har ek jism rooh ke azaab se niDhaal hai
har ek aa.nkh shabnami har ek dil figaar hai
hame.n to apne dil ki dhaDkano pe bhi yaqin nahin
KHoshaa vo log jin ko duusro.n pe aitbaar hai
na jis kaa naam hai koi na jis ki shakl hai koi
ik aisi shai kaa kyun hamen azal se intizaar hai
Baaton baaton mian bicharney ka ishara karkey
Khud bhi roya woh buhat ham se kinara karkey
Sochta rehta hoon tanhai main anjam-e-khuloos
Phir usi jurm-e-mohabbat ko dobara karkey
Jagmaga di hain terey shahar ki galiyan main ne
Apney ashkon ko palkon pe sitara karkey
Dekh letey hain chalo hosla apne dil ka
Aur kuch roz tere saath guzara karkey
Aik hi shahar main rehna hai magar milna nahi
Dekhtey hain yeh aziyat bhi gawara karkey
aiy ishq ye sab duniyaa waale be-kaar ki baaten karte hain
paael ke Ghamon kaa ilm nahin jhankaar ki baate.n karte hai.n
har dil me.n chhpaa hai teer koi har paa.nv me.n hai zanjir koi
puchhe koi in se Gham ke maze jo pyar ki baate.n karte hai.n
ulfat ke naye diwaano.n ko kis tarah se koi samjhaaye
nazro.n pe lagi hai paabandi deedaar ki baate.n karte hai.n
bha.nvre hai.n agar madhosh to kyaa parwaane bhi hai.n KHaamosh to kyaa
sab pyar ke naGhme gaate hai.n sab yaar ki baate.n karte hai.n
Na main tum say umeed rakhoon dil nawazi ki,
Na tum meri taraf daikho ghalat andaaz nazron say
Na meray dil ke dharkan larkharay Teri baaton say
Na zahir ho tumhari kashmakash ka raaz nazron say
Tumhain Bhi koi Uljhan rokti hai paish qadmi say
Mujhey bhi log kehtay hain yeh jalway para-ay hain.
Meray humrah bhi ruswa-e-yan hain meray maazi ki
Tumharay saath bhi guzree hui raaton kay sa-ey hain.
Ta-Aruff rog ho jaey tau usska bhoolna behtar,
Ta-Alluq bojhe ban jaey tau uska torna acha.
Woh afsanaa jissay anjaam tak lana na ho mumkin,
Ussay ik khoobsoorat mor day kar chorna acha.
Chalo ek baar phir say ajnabi ban jayen hum dono
Aiy mairey humnasheen chal kahin aur chal,
Is chamn mein ab apna guzaraa nahey,
Baat hotii guloon tak to seh laitay hum,
Ab to kanton pay bhi haq humara nahey,
Sach baat maan lijiye chehre pe dhool hai
Ilzaam aainoN pe laganaa fizul hai
Teri nawaazisheN hoN to kaaNTa bhi phool hai
Gham bhi mujhe qubool, Khushi bhi qubool hai
Us paar ab to koi teraa muntazir nahiN
Kacche GhaRe pe tair kar janaa fizool hai
Jab bhi milaa hai zaKhm ka tohfa diyaa mujhe,
Dushman zarur hai wo magar baa-usool hai
kaun kehta hai mohabbat ki zubaan hoti hai..
yeh hakeekat to nigahon se bayaan hoti hai
woh na aaye to satati hai khalish si dil ko..
wo jo aaye to khalish aur jawan hoti hai
rooh ko shaad karey dil ko jo purnoor kare..
her nazaare me ye tanveer kaha hoti hai
zabt sailaab-e-mohabbat ko kaha tak roke..
dil me jo baat ho aankhon se bayaan hoti hai
zindagi ek sulagti si chita hai saahir..
shola banti hai na ye bujhke dhuwan hoti hai
kaun kehta hai mohabbat ki zubaan hoti hai..
yeh hakeekat to nigahon se bayaan hoti hai
Play Ghazal to listen online
[sc_embed_player fileurl="http://www.urdu-shayari.in/mp3/Jagjit-Chitra-Singh-Kaun-Kehta-Hai.mp3&q…;]
Muhaasra – Nazam | Ahmed Faraz | mere ghanim ne mujh ko payam bheja hai
ki halqa-zan hain mere gird lashkari us ke
fasil-e-shahr ke har burj har manare par
kaman-ba-dast sitada hain askari us ke
Sitare Jo Damakte Hain Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein
Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein
Mulaqaten Jo hoti Hain
Jamal-e-Abr-o-Baran Mein
Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare
Warna To Tere Aeib Bhi Maloom Hain Saare
Sub Jurm Meri Zaat Se Mansoob Howy "Mohsin"
Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare
KHwab ki tarah bikhar jaane ko ji chahta hai
aisi tanhai ki mar jaane ko ji chahta hai
ghar ki vahshat se larazta huun magar jaane kyuun
shaam hoti hai to ghar jaane ko ji chahta hai
Chalo ab aisa karte hain sitaarey baant lete hain
Zarurat ke mutabiq hum saharey baant lete hain.
Mohabat karne walon ki tijaarat bhi anokhi hai,
Munaafa chhor detey hain khasaarey baant lete hain.
ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasana hai
simTe to dil-e-ashiq phaile to zamana hai
ye aur baat hai tujh se gila nahin karte
jo zakhm tu ne diye hain bhara nahin karte
Mat qatl karo awaz ko
har dil men utare jaate ho
ham log mohabbat vaale hain
tum ḳhanjar kyuun lahrate ho
Ab kahan dhoondhne jaoge hamaare Qaatil
Aap to qatl ka ilzaam hami par rakh do
Hum Dekhenge, Hum Bhi Dekhenge
Wo din ki jis ka vaada hai
Tu Shaheen hain Basera Kar Pahadon ki Chattano Par
Tu Shaheen Hai, Basera Kar Paharon Ki Chatanon Mein
Hasbi rabbi jallallah ma fi qalbi ghairullah
Noor-e-Muhammad sallalla laailaha illallah
In Barishon Se Dosti Achi Nahi FARAZ,
Kacha Tera Makan Hai Kuch To Khayal kar.
Kisi ke baap ka HINDUSTAN thodi hai
Kiraaye daar hain zaati makaan thodi hai,
Tere Ishq Ki Intaha Chahta Hun (Bang-e-Dra)
Meri Sadgi Dekh Kya Chahta Hoon