Hui Hai Shaam Tou aankhon mein Bas Gayaa Phir tu, kahaan gayaa hai mere shahar ke musaafir tu,
Bohat Udaas Hai Ik ShaKhs Tere Jaane Se, Jo Ho Sake Tou Chalaa aa Usii Kii Khaatir tu,
Merii Misaal Ke Ik NaKhl-e-Khushk-e-Saharaa Huu.N Teraa Khayaal Ke ShaaKh-e-Chaman Kaa Taa_ir tu,
Mai.n Jaantaa Huu.N Ke Duniyaa Tujhe Badal Degii Mai.n Maanataa Huun Ke aisaa Nahii.n Bazaahir tu,
Ha.Nsii Khushii Se bichhar Jaa agar BichhaDnaa hai Ye Har Maqaam Pe Kyaa Sochtaa Hai aaKhir tu,?
‘Faraz’ Tune Use Mushkilon Mein Daal Diyaa Zamaanaa Saahib-e-Zar aur Sirf Shaayar tu..

Ab ke hum bichre to shayad kabhi khwaabon mein milain
Jis tarah sukhe huye phool kitabon mein milain

Dhoond ujre huye logon mein wafa ke moti
Ye khazane tujhe mumkin hai kharabon mein milain

Gham-e-duniya bhi gham-e-yaar mein shaamil kar lo
Nasha bardhta hai sharabein jo sharabon mein milain

Tu khuda hai na mera ishq farishton jaisa
Dono insaan hain tou kyun hijabon mein milain

Aaj hum daar pe khainchay gaye jin baaton par
Kya ajab kal wo zamaanay ko nisaabon mein milain

Ab na wo main , na woh tu hai, na wo maazi hai “Faraz”
Jaise do shakhs tamannaa ke saraabon mein milain..

Har Shaakh Chaman Ki Jal Rahi Hai Kiya Baad-e-Muraad Chal Rahi Hai,
Hum Hain Ke Faraib Kha Rahe Hain Duniya Hai Ke Chaal Chal Rahi Hai,
Yoon Dil Mein Hai Teri Yaad Jaise Weerane Mein Aag Jal Rahi Hai,
Rukh Pher Liya Hai Jab Se Tune Duniya Ki Nazar Badal Rahi Hai,
Dar Pesh Hai Aaj Bhi Wohi Surat-e-Haal Jo Soorat-e-Haal Kal Rahi Hai,
Itni Bhi “Faraz” Bad Dili Kiya ? Sambhlo ! Ke Fizaa Badal Rahi Hai

Muhaasra – Nazam | Ahmed Faraz | mere ghanim ne mujh ko payam bheja hai

mere ghanim ne mujh ko payam bheja hai
ki halqa-zan hain mere gird lashkari us ke

fasil-e-shahr ke har burj har manare par
kaman-ba-dast sitada hain askari us ke

Sitare Jo Damakte Hain Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein

Sitare Jo Damakte Hain
Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein

Mulaqaten Jo hoti Hain
Jamal-e-Abr-o-Baran Mein

Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare

Shayed Yeh Zarf Hai Jo Khamosh Hun Ab Tak
Warna To Tere Aeib Bhi Maloom Hain Saare

Sub Jurm Meri Zaat Se Mansoob Howy "Mohsin"
Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare

KHwab ki tarah bikhar jaane ko ji chahta hai

khvab ki tarah bikhar jaane ko ji chahta hai 
aisi tanhai ki mar jaane ko ji chahta hai 

ghar ki vahshat se larazta huun magar jaane kyuun 
shaam hoti hai to ghar jaane ko ji chahta hai 

Chalo ab aisa karte hain sitaarey baant lete hain

Chalo ab aisa karte hain sitaarey baant lete hain.
Zarurat ke mutabiq hum saharey baant lete hain.

Mohabat karne walon ki tijaarat bhi anokhi hai,
Munaafa chhor detey hain khasaarey baant lete hain.

ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasana hai

ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasana hai
simTe to dil-e-ashiq phaile to zamana hai

ye aur baat hai tujh se gila nahin karte 

ye aur baat hai tujh se gila nahin karte 
jo zakhm tu ne diye hain bhara nahin karte 

Mat qatl karo awaz ko

tum apne aqidon ke neze
har dil men utare jaate ho

ham log mohabbat vaale hain
tum ḳhanjar kyuun lahrate ho

Ab kahan dhoondhne jaoge hamaare Qaatil

Ab kahan dhoondhne jaoge hamaare Qaatil
Aap to qatl ka ilzaam hami par rakh do

Hum Dekhenge, Hum Bhi Dekhenge

Laazim hai ke hum bhi dekhenge
Wo din ki jis ka vaada hai

Tu Shaheen hain Basera Kar Pahadon ki Chattano Par

Nahin Tera Nasheman Qasr-e-Sultani Ke Gunbad Par
Tu Shaheen Hai, Basera Kar Paharon Ki Chatanon Mein

Hasbi rabbi jallallah ma fi qalbi ghairullah

Hasbi rabbi jallallah ma fi qalbi ghairullah
Noor-e-Muhammad sallalla laailaha illallah

In Barishon Se Dosti Achi Nahi FARAZ,

In Barishon Se Dosti Achi Nahi FARAZ,
Kacha Tera Makan Hai Kuch To Khayal kar.

Kisi ke baap ka HINDUSTAN thodi hai

Jo aaj sahib-e-masnad hai kal nahi honge,
Kiraaye daar hain zaati makaan thodi hai,

Tere Ishq Ki Intaha Chahta Hun (Bang-e-Dra)

Tere Ishq Ki Inteha Chahta Hoon
Meri Sadgi Dekh Kya Chahta Hoon