Ab Ke Rut Badli Tou Khushbu Ka Safar Dekhay Ga Kon ? Zakham Phoolon Ki Tarah Mehkain Gain Per Dekhay Ga Kon ?
Dekhna Sab Raqs-e-Bismil Mein Magan Ho Jayein Ge Jis Taraf Se Teer Aaye Ga Udher Dekhay Ga Kon ?
Zakham Jitnay Bhi Thay Sab Mansoob Qaatil Se Howay Teray Haathon Ke Nishaa.n Ay Chaarahgar Dekhay Ga Kon ?
Wo Hawas Ho Ya Wafa Ho Baat Mehroomi Ki Hai Loog Tou Phal Phool Dekhain Ge Shajar Dekhay Ga Kon ?
Har Koi Apni Hawaa Mein Mast Phirta Hai “Faraz” Sheher-e-Na-Pursaan Mein Teri Chashm-e-Tar Dekhay Ga Kon ?

Ye Jo Sargashta Se Phirtay Hain Kitaabon Waalay In Se Mat Mil Ke Inhain Rog Hain Khwaabon Waalay
Ab Meh-o-Saal Ki Mohlat Nahi Milnay Wali Aa Chukay Ab Tou Shab-o-Roz Azaabon Waalay
Ab Tou Sab Dashna-o-Khanjar Ki Zabaan Boltay Hain Ab Kahaan Loog Mohabbat Ke Nisaabon Waalay
Jo Dilon Per Hee Kabhi Naqab Zani Kartay Thay Ab Gharon Tak Chalay Aaye Wo Naqaabon Waalay
Zindah Rehnay Ki Tamanna Ho Tou Ho Jaatay Hain Faakhtaaon Ke Bhi Kirdaar Aqaabon Waalay
Na Mere Zakham Khilay Hain Na Tera Rang-e-Hina Ab Ke Mausam Hee Nahi Aaye Gulaabon Waalay
Yun Tou Lagta Hai Ke Qismat Ka Sikander Hai “Faraz” Magar Andaaz Hain Sab Khaana Kharaabon Waalay

Hum na hotey to kisi aur ke charchey hotey, Halqat*-e-sheher to kehne ko fasaaney mangey..
(halqat;public)

Sitare Jo Damakte Hain Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein

Sitare Jo Damakte Hain
Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein

Mulaqaten Jo hoti Hain
Jamal-e-Abr-o-Baran Mein

Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare

Shayed Yeh Zarf Hai Jo Khamosh Hun Ab Tak
Warna To Tere Aeib Bhi Maloom Hain Saare

Sub Jurm Meri Zaat Se Mansoob Howy "Mohsin"
Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare

KHwab ki tarah bikhar jaane ko ji chahta hai

khvab ki tarah bikhar jaane ko ji chahta hai 
aisi tanhai ki mar jaane ko ji chahta hai 

ghar ki vahshat se larazta huun magar jaane kyuun 
shaam hoti hai to ghar jaane ko ji chahta hai 

koi ham-dam na rahA koi sahArA na rahA 

koi ham-dam na rahA koi sahArA na rahA 
ham kisi ke na rahe koi hamArA na rahA 

shaam tanhAi ki hai aaegi manzil kaise 
jo mujhe raah dikhA de vahi taarA na rahA

Chalo ab aisa karte hain sitaarey baant lete hain

Chalo ab aisa karte hain sitaarey baant lete hain.
Zarurat ke mutabiq hum saharey baant lete hain.

Mohabat karne walon ki tijaarat bhi anokhi hai,
Munaafa chhor detey hain khasaarey baant lete hain.

ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasana hai

ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasana hai
simTe to dil-e-ashiq phaile to zamana hai

dil abhi tak javan hai pyare

dil abhi tak javan hai pyare 
kis musibat men jaan hai pyare

hai justuju ki khuub se hai khub-tar kahan 

hai justuju ki khuub se hai khub-tar kahan 
ab Thaharti hai dekhiye ja kar nazar kahan 

ye aur baat hai tujh se gila nahin karte 

ye aur baat hai tujh se gila nahin karte 
jo zakhm tu ne diye hain bhara nahin karte 

sarakti jaa.e hai rukh se naqab ahista ahista

sarakti jaa.e hai rukh se naqab ahista ahista
nikalta aa raha hai aftab ahista ahista

Bas Ek Khyal Hai Taskeen E Jaan Hamare Liye …

Bas ek khyaal hai taskeen E jaaN hamare liye
Zamane bhar se koi bad gumaaN hamare liye

Raz E ulfat chhupa ke dekh liya

Raz E ulfat chhupa ke dekh liya
Dil bahut kuchh jala ke dekh liya

Aur kya dekhne ko baaqi hai
Aap se dil lagaa ke dekh liya

Mat qatl karo awaz ko

tum apne aqidon ke neze
har dil men utare jaate ho

ham log mohabbat vaale hain
tum ḳhanjar kyuun lahrate ho

Ab kahan dhoondhne jaoge hamaare Qaatil

Ab kahan dhoondhne jaoge hamaare Qaatil
Aap to qatl ka ilzaam hami par rakh do

Hum Dekhenge, Hum Bhi Dekhenge

Laazim hai ke hum bhi dekhenge
Wo din ki jis ka vaada hai