ishq mujh ko nahi.n wahshat hi sahi
meri wahshat teri shohrat hi sahi
qat.a kijiye na ta.Alluq ham se
kuchh nahi.n hai to adaawat hi sahi
mere hone me.n hai kyaa ruswaai
ai wo majlis nahi.n KHalvat hi sahi
ham bhi dushman to nahin hain apne
Ghair ko tujh se mohabbat hi sahi
apni hasti hi se ho jo kuchh ho
aagahi gar nahi.n Ghaflat hi sahi
umr har-chand ki hai barq-e-KHiraam
dil ke KHun karne ki fursat hi sahi
ham koi tark-e-wafaa karte hain
na sahi ishq musibat hi sahi
kuchh to de ai falak-e-naa-insaaf
aah o fariyaad ki ruKHsat hi sahii
ham bhi taslim ki KHu Daale.nge
be-niyaazii teri aadat hi sahi
yaar se chhe.D chali jaa.e asad
gar nahi.n vasl to hasrat hi sahi

ye kyaa jagah hai dosto ye kaun saa dayaar hai
hadd-e-nigaah tak jahaa.n Ghubaar hi Ghubaar hai
har ek jism rooh ke azaab se niDhaal hai
har ek aa.nkh shabnami har ek dil figaar hai
hame.n to apne dil ki dhaDkano pe bhi yaqin nahin
KHoshaa vo log jin ko duusro.n pe aitbaar hai
na jis kaa naam hai koi na jis ki shakl hai koi
ik aisi shai kaa kyun hamen azal se intizaar hai

justujuu jis kii thi us ko to na paaya ham ne
is bahaane se magar dekh li duniyaa ham ne
sab kaa ahvaal wahi hai jo hamaara hai aaj
ye alag baat ki shikwa kiyaa tanhaa ham ne
KHud pashiimaan hue ne use sharminda kiyaa
ishq kii vaz.a ko kyaa KHoob nibhaaya ham ne
kaun saa qahr ye aa.nkho.n pe hu.aa hai naazil
ek muddat se koi KHwab na dekhaa ham ne
umr bhar sach hi kahaa sach ke siwa kuchh na kaha
ajr kya is kaa milegaa ye na sochaa ham ne

Log har mod pe ruk-ruk ke sambhalte kyun hain
Itna darte hain to phir ghar se nikalte kyon hain
Main na jugnu hu diyaa hu na koi tara hu
Roshni waale mere naam se jalte kyon hain
Neend se mera ta-A-lluq hi nahi barsoN se
khwab aa-aa ke meri chhat pe tahalte kyon hain
Mod hota hai jawani ka sambhalne ke liye
Aur sab log yahin aake phisalte kyon hain

kaun kehta hai mohabbat ki zubaan hoti hai..
yeh hakeekat to nigahon se bayaan hoti hai
woh na aaye to satati hai khalish si dil ko..
wo jo aaye to khalish aur jawan hoti hai
rooh ko shaad karey dil ko jo purnoor kare..
her nazaare me ye tanveer kaha hoti hai
zabt sailaab-e-mohabbat ko kaha tak roke..
dil me jo baat ho aankhon se bayaan hoti hai
zindagi ek sulagti si chita hai saahir..
shola banti hai na ye bujhke dhuwan hoti hai
kaun kehta hai mohabbat ki zubaan hoti hai..
yeh hakeekat to nigahon se bayaan hoti hai
 
Play Ghazal to listen online
[sc_embed_player fileurl="http://www.urdu-shayari.in/mp3/Jagjit-Chitra-Singh-Kaun-Kehta-Hai.mp3&q…;]

chehre pe KHushi chhaa jaati hai aankhon me.n suroor aa jata hai
jab tum mujhe apna kahte ho apne pe Ghuroor aa jata hai
tum husn ki KHud ik duniya ho shaayad ye tumhe.n maaluum nahi.n
mahfil me.n tumhaare aane se har chiz pe noor aa jata hai
ham paas se tum ko kya dekhe.n tum jab bhi muqaabil hote ho
betaab nigaaho.n ke aage parda saa zaroor aa jata hai
jab tum se mohabbat ki ham ne tab jaa ke kahi.n ye raaz khula
marne kaa saliqa aate hii jine kaa sho.uur aa jata hai

Sach baat maan lijiye chehre pe dhool hai
Ilzaam aainoN pe laganaa fizul hai
Teri nawaazisheN hoN to kaaNTa bhi phool hai
Gham bhi mujhe qubool, Khushi bhi qubool hai
Us paar ab to koi teraa muntazir nahiN
Kacche GhaRe pe tair kar janaa fizool hai
Jab bhi milaa hai zaKhm ka tohfa diyaa mujhe,
Dushman zarur hai wo magar baa-usool hai

Muhaasra – Nazam | Ahmed Faraz | mere ghanim ne mujh ko payam bheja hai

mere ghanim ne mujh ko payam bheja hai
ki halqa-zan hain mere gird lashkari us ke

fasil-e-shahr ke har burj har manare par
kaman-ba-dast sitada hain askari us ke

Sitare Jo Damakte Hain Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein

Sitare Jo Damakte Hain
Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein

Mulaqaten Jo hoti Hain
Jamal-e-Abr-o-Baran Mein

Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare

Shayed Yeh Zarf Hai Jo Khamosh Hun Ab Tak
Warna To Tere Aeib Bhi Maloom Hain Saare

Sub Jurm Meri Zaat Se Mansoob Howy "Mohsin"
Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare

KHwab ki tarah bikhar jaane ko ji chahta hai

khvab ki tarah bikhar jaane ko ji chahta hai 
aisi tanhai ki mar jaane ko ji chahta hai 

ghar ki vahshat se larazta huun magar jaane kyuun 
shaam hoti hai to ghar jaane ko ji chahta hai 

Chalo ab aisa karte hain sitaarey baant lete hain

Chalo ab aisa karte hain sitaarey baant lete hain.
Zarurat ke mutabiq hum saharey baant lete hain.

Mohabat karne walon ki tijaarat bhi anokhi hai,
Munaafa chhor detey hain khasaarey baant lete hain.

ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasana hai

ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasana hai
simTe to dil-e-ashiq phaile to zamana hai

ye aur baat hai tujh se gila nahin karte 

ye aur baat hai tujh se gila nahin karte 
jo zakhm tu ne diye hain bhara nahin karte 

Mat qatl karo awaz ko

tum apne aqidon ke neze
har dil men utare jaate ho

ham log mohabbat vaale hain
tum ḳhanjar kyuun lahrate ho

Ab kahan dhoondhne jaoge hamaare Qaatil

Ab kahan dhoondhne jaoge hamaare Qaatil
Aap to qatl ka ilzaam hami par rakh do

Hum Dekhenge, Hum Bhi Dekhenge

Laazim hai ke hum bhi dekhenge
Wo din ki jis ka vaada hai

Tu Shaheen hain Basera Kar Pahadon ki Chattano Par

Nahin Tera Nasheman Qasr-e-Sultani Ke Gunbad Par
Tu Shaheen Hai, Basera Kar Paharon Ki Chatanon Mein

Hasbi rabbi jallallah ma fi qalbi ghairullah

Hasbi rabbi jallallah ma fi qalbi ghairullah
Noor-e-Muhammad sallalla laailaha illallah

In Barishon Se Dosti Achi Nahi FARAZ,

In Barishon Se Dosti Achi Nahi FARAZ,
Kacha Tera Makan Hai Kuch To Khayal kar.

Kisi ke baap ka HINDUSTAN thodi hai

Jo aaj sahib-e-masnad hai kal nahi honge,
Kiraaye daar hain zaati makaan thodi hai,

Tere Ishq Ki Intaha Chahta Hun (Bang-e-Dra)

Tere Ishq Ki Inteha Chahta Hoon
Meri Sadgi Dekh Kya Chahta Hoon