milkar juda hue to na soya karenge hum
ek dusre ki yaad me roya karenge hum
aasu chalak chalak ke satayenge raat bhar
moti palak palak me piroya karenge hum
jab duriyon ki aag dilo ko jalayegi
jismo ko chandani me bhigoya karenge hum
gar de gaya daga hamen tufaan bhi 'Qateel'
sahil pe kashtiyon ko Duboya karenge hum
Qateel Shifai

Milkar Juda Huey To Na Soya Karenge Hum
Ek Doosre Ki Yaad Mei Roya Karenge Hum
ansoo Chalak Chalak Ke Sataayenge Raath Bhar
Moti Palak Palak Mei Piroya Karenge Hum
Jab Dooriyon Ki Yaad DiloN Ko Jalayegi
Jismo Ko Chandni MeiN Bhigoya Karenge Hum
Ban Kar Ik Bazm Ka Mauzu-e-Guftugu
Jismon Ko Chaandni Mein Bhigoya Karain Ge Hum
Majboriyon Ke Zeher Se Karlain Ge Khudkushi
Ye Buzdili Ka Jurm Bhee Goya Karain Ge Hum
Dil Jal Raha Hai Zard Shajar Dekh Dekh Kar
Ab Chahaton Ke Beej Na Boya Karain Ge Hum
Gar De Gaya Daga Hame Toofan Bhi ‘Qateel’
Sahil Pe Kashtiyon Ko Dooboya Karenge Hum
Qateel Shifai

sadma to hai mujhe bhi ki tujhse juda hun mai
lekin ye sochta hu ki ab tera kya hu mai
bikhra pada hai tere hi ghar me tera vajud
bekar mahfilon me tujhe dhundata hu mai
mai Khudkushi ke jurm ka karta hu aitaraf
apne badan ki qabr me kabse gada hu mai
kis-kiska nam lu zaba par ki tere sath
har roz ek shaKhs naya dekhtaa hu mai
na jane kis ada se liya tune mera naam
duniya samajh rahi hai ke sab kuch tera hu mai
le mere tajurbo se sabak aie mere raqeeb
do chaar sal umr me tujhse bada hu mai
jaga hua zameer vo aeinaa hai "Qateel"
sone se pahle roz jise dekhta hu mai
By :  Qateel Shifai

Chaandi jaisa rang hai tera, sone jaise baal
Aek tu hi dhanvaan hai gori, baqi sab kangaal
Har aaNgan mein saje na tere ujle roop ki dhoop
Chhail-chhabeeli raani thoRa ghuNghat aur nikaal
Bhar bhar nazreiN dekheiN tujh ko aate jaate log
Dekh tujhe badnaam na karde harni jaisi chaal
Beech mein rang-mahal hai tera khayi charoN or
Hum se milne ki ab gori tu hi raah nikaal
Yeh duniya hai khud gharzoN ki lekin yaar ‘Qateel’
Tu ne hamaara saath diya tu jiye hazaaroN saal

Apne Honton Pe Sajana Chahta Hun
Aa Tujhe Mein Gungunana Chahta Hun
Koi Aansuu Tere Daaman Pe Gira Ke
Boond Ko Moti Banana Chahta Hun
Thak Gaya Mein Yaad Kartay Kartay Tujh Ko
Ab Tujhe Mein Yaad Aana Chahta Hun
Aakhri Hichki Tere Zaano Pe Aaye
Mout Bhee Shayarana Chahta Hun
Reh Gayi Thi Kuch Kami Ruswaayion Mein
Phir “Qateel” Oske Dar Pe Jaana Chahta Hun
Qateel Shifai

Tumhaari anjuman se uTh ke diwaane kahaaN jaate
Jo vaabastaa hue tum se voh afsaane kahaaN jaate
Nikal kar dair-o-kaaba se agar milta na maiKhaana
To Thukraaye hue insaaN Khudaa jaane kahaaN jaate
Tumhaari beruKhi ne laaj rakh li baada-Khaane ki
Tum aaNkhoN se pilaa dete to paimaane kahaaN jaate
Chalo achchhaa huaa kaam aa gayee divaangi apni
Vagar na ham zamaane bhar ko samjhaane kahaaN jaate
‘Qateel’ apnaa muqaddar Gham se be-gaanaa agar hota
To phir apne paraaye ham se pahchaane kahaaN jaate

apne haathon ki lakiron men basa  le mujhko
main huN teraa nasib apnaa bana le mujhko
mujhse tu puchhne aya hai wafa ke maani
ye teri sada-dili maar na Daale mujhko
main samandar bhi huN moti bhi huN Gotazan bhi
koi bhi naam meraa leke bula le mujhko
tune dekha nahi aaine se aage kuchh bhi
Khudaparasti men kahin tu na gaNva le mujhko
kal ki baat aur hai main ab saa rahuN yaa na rahuN
jitnaa ji chaahe teraa aaj sata le mujhko
Khud ko main baaNT na DaaluN kahii.n daaman-daaman
kar diyaa tune agar mere havale mujhko
main jo kaaNTa huN to chal mujh se bachakar daaman
main huN gar phool to juDe men saja le mujhko
main khule dar ke kisi ghar kaa huN saamaN pyaare
tu dabe paaNv kabhi aake chura le mujhko
tark-e-ulfat ki qasam bhi koi hoti hai qasam
tu kabhi yaad to kar bhulnewaale mujhko
baadaa phir baadaa hai mai.n zahar bhi pi jaauN "Qateel"
shart ye hai koi baahon mein sambhale mujhko
Qateel Shifayee

Pareshan rat sari hai sitaro tum to so jao
Sukut-e-marg tari hai sitaro tum to so jao
Hanson aur hanste-hanste dubte jao khalaon mein
Hamein ye rat bhari hai sitaro tum to so jao
Tumhen kya aj bhi koi agar milne nahin aya
Ye bazi ham ne hari hai sitaro tum to so jao
Kahe jate ho ro-ro k hamara hal duniya se
Ye kaisi razdari hai sitaro tum to so ja
Hamein to aj ki shab pau phate tak jagna hoga
Yahi qismat hamari hai sitaro tum to so jao
Hamein bhi nind a jayegi ham bhi so hi jayenge
Abhi kuch beqarari hai sitaro tum to so jao
Qateel Shifai

duniya ne hum pe jab koi ilzam rakh diya
humne muqabil uske tera naam rakh diya
eik khaas hadd pe aa gai jab teri berukhi
naam uska humne gardish-e-ayaam rakh diya
mein larkarata raha hon tujhe dekh dekh ker
tunay tou mere samne eik jaan rakh diya
kitna sitam-zareef hai woh saheb-e-jamaal
usne diya jala ke lab-e-baam rakh diya
abb jis ke jee mein aaye wahi paye roshni,
hum ne tou dil jala ke sar-e-aam rakh diya,
kya maslehat-shanaas tha woh admi ~Qateel,
majbooriyoN ka jisne 'wafa' naam rakh diya,

Meri Zindagi too faraaq hai,wo azal se dil main makee'n sahee
Wo nigaah_e_shauq se door hain,rag_e_jaa'n se laakh qaree'n sahee
Hamein jaan deni hai aik din,wo kisi tarah wo kahin sahee
Hamien aap khainchiye waar par,jo nahin koi tu hamee'n sahee
Sar_e_toor sar_e_hashr ho,hamein intezaar qabool hai
Wo kabhi milein,wo kahin milein,wo kabhi sahee,wo kahin sahee
Na ho un pe mera bass nahin, ke ye aashqi hai hiwas nahi
Main unhi ka tha, main unhi ka hoon,wo mere nahin,tu nahin sahee
Mujhe bhaithne ki jaga milay,meri aarzoo ka bharam rahay
Teri anjuman mein agar nahin,teri anjuman ke qaree'n sahee
Tera dar tu hum ko na mil saka, teri rahguzar ki zamee'n sahee
Hamein sajda karne se kaam hai, jo wahan nahin tu yahee'n sahee
Meri Zindagi ka naseeb hai, nahin door mujh se qareeb hai
Mujhe uska ghum tu naseeb hai, wo agar nahin tu nahin sahee
Jo ho faisla wo sunaayye,usse hashr par na uthaayye
Jo karein ge aap situm waha, wo abhi sahee,wo yahee'n sahee
Unhe dekhne ki jo lo lagi tu Qateel dekh hi lain gey hum
Wo hazaar aankh se door hoon, wo hazaar pardah nashee'n sahee
Qateel Shifai