ستاروں سے آگے جہاں اور بھی ہیں
ابھی عشق کے امتحاں اور بھی ہیں

تہی زندگی سے نہیں یہ فضائیں
یہاں سیکڑوں کارواں اور بھی ہیں

قناعت نہ کر عالم رنگ و بو پر
چمن اور بھی آشیاں اور بھی ہیں

اگر کھو گیا اک نشیمن تو کیا غم
مقامات آہ و فغاں اور بھی ہیں

تو شاہیں ہے پرواز ہے کام تیرا
ترے سامنے آسماں اور بھی ہیں

اسی روز و شب میں الجھ کر نہ رہ جا
کہ تیرے زمان و مکاں اور بھی ہیں

گئے دن کہ تنہا تھا میں انجمن میں
یہاں اب مرے رازداں اور بھی ہیں

 

sitaron se aage jahan aur bhi hain
abhi ishq ke imtihan aur bhi hain

tahi zindagi se nahin ye faza.en
yahan saikḌon karvan aur bhi hain

qana.at na kar alam-e-rang-o-bu par
chaman aur bhi ashiyan aur bhi hain

agar kho gaya ik nasheman to kya ġham
maqamat-e-ah-o-fuġhan aur bhi hain

tu shahin hai parvaz hai kaam tera
tire samne asman aur bhi hain

isi roz o shab men ulajh kar na rah ja
ki tere zaman o makan aur bhi hain

ga.e din ki tanha tha main anjuman men
yahan ab mire raz-dan aur bhi hain

 

Writer