is se pahle ke bewafaa ho jaayen
kyon na aiy dost ham judaa ho jaayen
tuu bhi hire se ban gayaa patthar
ham bhi kal kyaa se kyaa ho jaayen
ham bhi majburiyon kaa uzr karen
aur kahin aur mubtalaa ho jaayen
ishq bhi khel hai nasibon kaa
Khaak ho jaayen kimiyaa ho jaayen
ab ke gar tu mile to ham tujh se
aise lipaTen teri qabaa ho jaayen
bandagi ham ne chhoD di hai 'Faraz'
kyaa karen log jab Khudaa ho jaayen
By : Ahmad Faraz

aina kyu na dun k tamasha kahe jise
aisa kahan se laun k tujhsa kahe jise
hasrat ne la rakha teri bazm-e-khayal mein
guldasta-e-nigah suweda kahe jise
phunka hai kisne goshe muhabbat mein ai Khuda
afsun-e-intazar tamanna kahe jise
sar par hujum-e-dard-e-garibi se daliye
wo ek musht-e-khak k sahra kahe jise
hai chashm-e-tar mein hasrat-e-didar se nihan
shauq-e-inan gusekhta dariya kahe jise
darkar hai shiguftan-e-gul haye aish ko
subh-e-bahar panba-e-mina kahe jise
“ghalib” bura na man jo waiz bura kahe
aisa bhi koi hai k sab acha kahe jise
 

Niyat-e-shauq bhar na jaye kahin,

Tu bhi dil se utar na jaye kahin.

Aaj dekha hai tujhe der k bad,

Aaj ka din guzar na jaye kahin.

Na mila kar udas logon se,

Husn tera bikhar na jaye kahin.

Aarzu hai k tu yahan aye,

Aur phir umr bhar na jaye kahin.

Ji jalata hun aur ye sochta hun,

Rayegan ye hunar na jaye kahin.

Ao kuch der ro hi len 'Nasir',

Phir ye dariya utar na jaye kahin.

Nasir Kazmi


Hindi Scrit

नियत-ए-शौक भर न जाए कहीं, तू भी दिल से उतर न जाए कहीं।

आज देखा है तुझे देर के बाद, आज का दिन गुजर न ज

 

Sitare Jo Damakte Hain Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein

Sitare Jo Damakte Hain
Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein

Mulaqaten Jo hoti Hain
Jamal-e-Abr-o-Baran Mein

Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare

Shayed Yeh Zarf Hai Jo Khamosh Hun Ab Tak
Warna To Tere Aeib Bhi Maloom Hain Saare

Sub Jurm Meri Zaat Se Mansoob Howy "Mohsin"
Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare

KHwab ki tarah bikhar jaane ko ji chahta hai

khvab ki tarah bikhar jaane ko ji chahta hai 
aisi tanhai ki mar jaane ko ji chahta hai 

ghar ki vahshat se larazta huun magar jaane kyuun 
shaam hoti hai to ghar jaane ko ji chahta hai 

koi ham-dam na rahA koi sahArA na rahA 

koi ham-dam na rahA koi sahArA na rahA 
ham kisi ke na rahe koi hamArA na rahA 

shaam tanhAi ki hai aaegi manzil kaise 
jo mujhe raah dikhA de vahi taarA na rahA

Chalo ab aisa karte hain sitaarey baant lete hain

Chalo ab aisa karte hain sitaarey baant lete hain.
Zarurat ke mutabiq hum saharey baant lete hain.

Mohabat karne walon ki tijaarat bhi anokhi hai,
Munaafa chhor detey hain khasaarey baant lete hain.

ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasana hai

ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasana hai
simTe to dil-e-ashiq phaile to zamana hai

dil abhi tak javan hai pyare

dil abhi tak javan hai pyare 
kis musibat men jaan hai pyare

hai justuju ki khuub se hai khub-tar kahan 

hai justuju ki khuub se hai khub-tar kahan 
ab Thaharti hai dekhiye ja kar nazar kahan 

ye aur baat hai tujh se gila nahin karte 

ye aur baat hai tujh se gila nahin karte 
jo zakhm tu ne diye hain bhara nahin karte 

sarakti jaa.e hai rukh se naqab ahista ahista

sarakti jaa.e hai rukh se naqab ahista ahista
nikalta aa raha hai aftab ahista ahista

Bas Ek Khyal Hai Taskeen E Jaan Hamare Liye …

Bas ek khyaal hai taskeen E jaaN hamare liye
Zamane bhar se koi bad gumaaN hamare liye

Raz E ulfat chhupa ke dekh liya

Raz E ulfat chhupa ke dekh liya
Dil bahut kuchh jala ke dekh liya

Aur kya dekhne ko baaqi hai
Aap se dil lagaa ke dekh liya

Mat qatl karo awaz ko

tum apne aqidon ke neze
har dil men utare jaate ho

ham log mohabbat vaale hain
tum ḳhanjar kyuun lahrate ho

Ab kahan dhoondhne jaoge hamaare Qaatil

Ab kahan dhoondhne jaoge hamaare Qaatil
Aap to qatl ka ilzaam hami par rakh do

Hum Dekhenge, Hum Bhi Dekhenge

Laazim hai ke hum bhi dekhenge
Wo din ki jis ka vaada hai