dil bhi bujha ho shaam ki parchhaaiyaaN bhi hon
mar jaaiye jo aise men tanhaaiyaaN bhi hon
aaNkhon ki surKh lahar hai mauj-e-supardagi
ye kyaa zarur hai ke ab angDaaiyaaN bhi hon
har husn-e-saada lau na dil men utar saka
kuchh to mizaaj-e-yaar men gahraaiyaaN bhi hon
duniyaa ke tazkire to tabiyat hi le bujhe
baat us ki ho to phir suKhan aaraaiyaaN bhi hon
pahle pahal kaa ishq abhi yaad hai 'Faraz'
dil Khud ye chaahta hai ke ruswaaiyaaN bhi hon
is qadar musalsal thi shiddaten judaai ki
aaj pahli baar main ne us bewafai ki
warnaa ab talak yuN thaa Khwahishon ki baarish men
yaa to TuT kar royaa yaa Ghazal_saraai ki
taj diyaa tha kal jin ko ham ne teri chaahat men
aaj un se majaburan tazaa aashnaai ki
ho chalaa thaa jab mujh ko iKhtilaaf apne se
tune kis ghaDi zaalim meri ham_nawaai ki
tanz-o-taana-o-tohamat sab hunar hain naaseh ke
aap se koi puchhe ham ne kya buraai ki
phir qafas men shor uTThaa qaidiyon ka aur sayyaad
dekhnaa uDaa degaa phir Khabar rihaai kii
Written By : Ahmad Faraz
Meaning
(musalsal=continuous; shiddat=severity)
(Khwaahish=desire/wish)
(taj denaa=to abandon; aashanaa_ii=love/form relationships)
(iKhtilaaf=difference of opinion; ham-navaa_ii=friendship)
(tanz=satire; taanaa=taunt; tohamat=allegation; naaseh=preacher)
(qafas=cage/prison; sayyaad=hunter)
is daur-e-bejunuN ki kahaani koi likho
jismon ko barf Khoon ko paani koi likho
koi kaho ki haath qalam kis tarah hue
kyuN ruk gai qalam ki ravaani koi likho
kyon ahal-e-shauq sar-va-garebaaN hain dosto
kyon KhooN-ba-dil hai ahad-e-jawaani koi likho
kyon surmaa-dar-gulu hai har ek taayar-e-suKhan
kyon gulsitaaN qafas ka hai saani koi likho
haaN tazaa saanehon kaa kare kaun intazaar
haaN dil ki waaradaat puraani koi likho
Written By : Ahmad Faraz
Muhaasra – Nazam | Ahmed Faraz | mere ghanim ne mujh ko payam bheja hai
ki halqa-zan hain mere gird lashkari us ke
fasil-e-shahr ke har burj har manare par
kaman-ba-dast sitada hain askari us ke
Sitare Jo Damakte Hain Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein
Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein
Mulaqaten Jo hoti Hain
Jamal-e-Abr-o-Baran Mein
Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare
Warna To Tere Aeib Bhi Maloom Hain Saare
Sub Jurm Meri Zaat Se Mansoob Howy "Mohsin"
Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare
KHwab ki tarah bikhar jaane ko ji chahta hai
aisi tanhai ki mar jaane ko ji chahta hai
ghar ki vahshat se larazta huun magar jaane kyuun
shaam hoti hai to ghar jaane ko ji chahta hai
Chalo ab aisa karte hain sitaarey baant lete hain
Zarurat ke mutabiq hum saharey baant lete hain.
Mohabat karne walon ki tijaarat bhi anokhi hai,
Munaafa chhor detey hain khasaarey baant lete hain.
ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasana hai
simTe to dil-e-ashiq phaile to zamana hai
ye aur baat hai tujh se gila nahin karte
jo zakhm tu ne diye hain bhara nahin karte
Mat qatl karo awaz ko
har dil men utare jaate ho
ham log mohabbat vaale hain
tum ḳhanjar kyuun lahrate ho
Ab kahan dhoondhne jaoge hamaare Qaatil
Aap to qatl ka ilzaam hami par rakh do
Hum Dekhenge, Hum Bhi Dekhenge
Wo din ki jis ka vaada hai
Tu Shaheen hain Basera Kar Pahadon ki Chattano Par
Tu Shaheen Hai, Basera Kar Paharon Ki Chatanon Mein
Hasbi rabbi jallallah ma fi qalbi ghairullah
Noor-e-Muhammad sallalla laailaha illallah
In Barishon Se Dosti Achi Nahi FARAZ,
Kacha Tera Makan Hai Kuch To Khayal kar.
Kisi ke baap ka HINDUSTAN thodi hai
Kiraaye daar hain zaati makaan thodi hai,
Tere Ishq Ki Intaha Chahta Hun (Bang-e-Dra)
Meri Sadgi Dekh Kya Chahta Hoon