is se pahle ke bewafaa ho jaayen
kyon na aiy dost ham judaa ho jaayen
tuu bhi hire se ban gayaa patthar
ham bhi kal kyaa se kyaa ho jaayen
ham bhi majburiyon kaa uzr karen
aur kahin aur mubtalaa ho jaayen
ishq bhi khel hai nasibon kaa
Khaak ho jaayen kimiyaa ho jaayen
ab ke gar tu mile to ham tujh se
aise lipaTen teri qabaa ho jaayen
bandagi ham ne chhoD di hai 'Faraz'
kyaa karen log jab Khudaa ho jaayen
By : Ahmad Faraz

aina kyu na dun k tamasha kahe jise
aisa kahan se laun k tujhsa kahe jise
hasrat ne la rakha teri bazm-e-khayal mein
guldasta-e-nigah suweda kahe jise
phunka hai kisne goshe muhabbat mein ai Khuda
afsun-e-intazar tamanna kahe jise
sar par hujum-e-dard-e-garibi se daliye
wo ek musht-e-khak k sahra kahe jise
hai chashm-e-tar mein hasrat-e-didar se nihan
shauq-e-inan gusekhta dariya kahe jise
darkar hai shiguftan-e-gul haye aish ko
subh-e-bahar panba-e-mina kahe jise
“ghalib” bura na man jo waiz bura kahe
aisa bhi koi hai k sab acha kahe jise
 

KaThin hai rahguzar thoDi door saath chalo
Bahut baDaa hai safar thoDi door saath chaalo
Tamaam umr kahaaN koi saath detaa hai
Main jaanta huN magar thoDi door saath chalo
Nashe men choor huN main bhi tumhen bhi hosh nahin
BaDaa mazaa ho agar thoDi door saath chalo
Ye ek shab ki mulaqaat bhi Ghanimat hai
Kise hai kal ki Khabar thoDi door saath chalo
Abhi to jaag rahe hain chiraaGh raahon ke
Abhi hai door sahar thoDi door saath chalo
Tavaaf-e-manzil-e-jaanaN hamen bhi karna hai
'Faraz' tum bhi agar thoDii door saath chalo

Muhaasra – Nazam | Ahmed Faraz | mere ghanim ne mujh ko payam bheja hai

mere ghanim ne mujh ko payam bheja hai
ki halqa-zan hain mere gird lashkari us ke

fasil-e-shahr ke har burj har manare par
kaman-ba-dast sitada hain askari us ke

Sitare Jo Damakte Hain Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein

Sitare Jo Damakte Hain
Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein

Mulaqaten Jo hoti Hain
Jamal-e-Abr-o-Baran Mein

Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare

Shayed Yeh Zarf Hai Jo Khamosh Hun Ab Tak
Warna To Tere Aeib Bhi Maloom Hain Saare

Sub Jurm Meri Zaat Se Mansoob Howy "Mohsin"
Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare

KHwab ki tarah bikhar jaane ko ji chahta hai

khvab ki tarah bikhar jaane ko ji chahta hai 
aisi tanhai ki mar jaane ko ji chahta hai 

ghar ki vahshat se larazta huun magar jaane kyuun 
shaam hoti hai to ghar jaane ko ji chahta hai 

Chalo ab aisa karte hain sitaarey baant lete hain

Chalo ab aisa karte hain sitaarey baant lete hain.
Zarurat ke mutabiq hum saharey baant lete hain.

Mohabat karne walon ki tijaarat bhi anokhi hai,
Munaafa chhor detey hain khasaarey baant lete hain.

ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasana hai

ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasana hai
simTe to dil-e-ashiq phaile to zamana hai

ye aur baat hai tujh se gila nahin karte 

ye aur baat hai tujh se gila nahin karte 
jo zakhm tu ne diye hain bhara nahin karte 

Mat qatl karo awaz ko

tum apne aqidon ke neze
har dil men utare jaate ho

ham log mohabbat vaale hain
tum ḳhanjar kyuun lahrate ho

Ab kahan dhoondhne jaoge hamaare Qaatil

Ab kahan dhoondhne jaoge hamaare Qaatil
Aap to qatl ka ilzaam hami par rakh do

Hum Dekhenge, Hum Bhi Dekhenge

Laazim hai ke hum bhi dekhenge
Wo din ki jis ka vaada hai

Tu Shaheen hain Basera Kar Pahadon ki Chattano Par

Nahin Tera Nasheman Qasr-e-Sultani Ke Gunbad Par
Tu Shaheen Hai, Basera Kar Paharon Ki Chatanon Mein

Hasbi rabbi jallallah ma fi qalbi ghairullah

Hasbi rabbi jallallah ma fi qalbi ghairullah
Noor-e-Muhammad sallalla laailaha illallah

In Barishon Se Dosti Achi Nahi FARAZ,

In Barishon Se Dosti Achi Nahi FARAZ,
Kacha Tera Makan Hai Kuch To Khayal kar.

Kisi ke baap ka HINDUSTAN thodi hai

Jo aaj sahib-e-masnad hai kal nahi honge,
Kiraaye daar hain zaati makaan thodi hai,

Tere Ishq Ki Intaha Chahta Hun (Bang-e-Dra)

Tere Ishq Ki Inteha Chahta Hoon
Meri Sadgi Dekh Kya Chahta Hoon