Us Mod Se shuru karen phir yeh Zindagi
Kaun Kahta hai Mohabbat Ki Zuban hoti hai
Kaun Kahta hai mohabbat ki zubah hoti hai
Hosh Walon ko Khabar Kia Bekhudi kia Cheez Hai
Hosh Walon ko Khabar Kia Bekhudi kia Cheez Hai
Teri Berukhi aur Teri Meharbani
Teri Berukhi aur Teri Meharbani
Tum Itna Jo Muskura Rahe Ho Kia Gham Hai Jisko Cchupa Rahe Ho
Tum Itna Jo Muskura Rahe Ho Kia Gham Hai Jisko Cchupa Rahe Ho
Ho ke Majboor Mujhe Us Ne Bhulaya Hoga
Hoke Majboor Mujhe Us Ne Bhulaya Hoga
Badi Haseen Raat Thi - By Jagjeet Singh
Badi Haseen Raat Thi
Duniya Jise Kahate Hain Jaadu Ka Khilona Hai - By Jagjeet Singh
Duniya Jise Kahate Hain Jaadu Ka Khilona Hai
hui hai shaam to aaNkhon men bas gayaa phir tu
kahaaN gayaa hai mere shahar ke musaafir tu
bahut udaas hai ik shaKhs tere jaane se
jo ho sake to chalaa aa usi ki Khaatir tu
meri misaal ki ik naKhl-e-Khushk-e-sahraa huN
teraa Khayaal ki shaaKh-e-chaman kaa taair tu
main jaanta huN ke duniya tujhe badal degi
main maanta huN ke aisaa nahin bazaahir tu
haNsii Khushi se bichhaD jaa agar bichhaDna hai
ye har maqaam pe kyaa sochtaa hai aaKhir tu
'Faraz' tune use mushkilon men Daal diya
zamaanaa saahib-e-zar aur sirf shaayar tu
inhin Khush-gumaniyon men kahin jaaN se bhi na jaao
wo jo chaaragar nahin hai use zaKhm kyuN dhikhaao
ye udaasiyon ke mausam kahin raayegaaN na jaayeN
kisi zaKhm ko kuredo kisi dard ko jagaao
wo kahaaniyaaN adhuri jo na ho sakengi puri
unhen main bhi kyuN sunaauN unhen tum bhi kyuN sunaao
mere hamsafar purane mere ab bhi muntazir hain
tumhen saath chhoDna hai to abhi se chhoD jaao
ye judaaiyon ke raste baDi dur tak gaye hain
jo gayaa wo phir na lauTaa merii baat maan jaao
kisi bewafa ki Khaatir ye junuN 'Faraz' kab tak
jo tumhen bhula chuka hai use tum bhi bhul jaao
By : Ahmad Faraz
Muhaasra – Nazam | Ahmed Faraz | mere ghanim ne mujh ko payam bheja hai
ki halqa-zan hain mere gird lashkari us ke
fasil-e-shahr ke har burj har manare par
kaman-ba-dast sitada hain askari us ke
Sitare Jo Damakte Hain Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein
Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein
Mulaqaten Jo hoti Hain
Jamal-e-Abr-o-Baran Mein
Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare
Warna To Tere Aeib Bhi Maloom Hain Saare
Sub Jurm Meri Zaat Se Mansoob Howy "Mohsin"
Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare
KHwab ki tarah bikhar jaane ko ji chahta hai
aisi tanhai ki mar jaane ko ji chahta hai
ghar ki vahshat se larazta huun magar jaane kyuun
shaam hoti hai to ghar jaane ko ji chahta hai
Chalo ab aisa karte hain sitaarey baant lete hain
Zarurat ke mutabiq hum saharey baant lete hain.
Mohabat karne walon ki tijaarat bhi anokhi hai,
Munaafa chhor detey hain khasaarey baant lete hain.
ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasana hai
simTe to dil-e-ashiq phaile to zamana hai
ye aur baat hai tujh se gila nahin karte
jo zakhm tu ne diye hain bhara nahin karte
Mat qatl karo awaz ko
har dil men utare jaate ho
ham log mohabbat vaale hain
tum ḳhanjar kyuun lahrate ho
Ab kahan dhoondhne jaoge hamaare Qaatil
Aap to qatl ka ilzaam hami par rakh do
Hum Dekhenge, Hum Bhi Dekhenge
Wo din ki jis ka vaada hai
Tu Shaheen hain Basera Kar Pahadon ki Chattano Par
Tu Shaheen Hai, Basera Kar Paharon Ki Chatanon Mein
Hasbi rabbi jallallah ma fi qalbi ghairullah
Noor-e-Muhammad sallalla laailaha illallah
In Barishon Se Dosti Achi Nahi FARAZ,
Kacha Tera Makan Hai Kuch To Khayal kar.
Kisi ke baap ka HINDUSTAN thodi hai
Kiraaye daar hain zaati makaan thodi hai,
Tere Ishq Ki Intaha Chahta Hun (Bang-e-Dra)
Meri Sadgi Dekh Kya Chahta Hoon