Tumhaari anjuman se uTh ke diwaane kahaaN jaate
Jo vaabastaa hue tum se voh afsaane kahaaN jaate
Nikal kar dair-o-kaaba se agar milta na maiKhaana
To Thukraaye hue insaaN Khudaa jaane kahaaN jaate
Tumhaari beruKhi ne laaj rakh li baada-Khaane ki
Tum aaNkhoN se pilaa dete to paimaane kahaaN jaate
Chalo achchhaa huaa kaam aa gayee divaangi apni
Vagar na ham zamaane bhar ko samjhaane kahaaN jaate
‘Qateel’ apnaa muqaddar Gham se be-gaanaa agar hota
To phir apne paraaye ham se pahchaane kahaaN jaate

Chupke chupke raat din aaNsu bahaana yaad hai
Hum ko abtak aashiqi ka wo zamaana yaad hai
Ba-hazaraaN izteraab O sad hazaaraaN ishtiyaaq
Tujh se wo pahle pehal, dil ka lagaana yaad hai
Baar baar uThna usi janib nigaah E shouq ka
Aur tera ghurphe se wo, aankheN laRaana yaad hai
Tujh se kuch milte hi wo bebaak ho jana mera
Aur tera danton men wo ungli dabaana yaad hai
KhaiNch lena wo mera parde ka kona daf’a-atan
Aur dupatte se tera wo muNh chupaana yaad hai
Jaan kar sota tujhe woh qasd E pa-bosi mera
Aur tera thukra k sar, wo muskuraana yaad hai
Tujhko jab tanha kabhi pana to az-raah-E-lehaaz
Haal E dil batooN hi batoon men jataana yaad hai
Ghair ki nazroN se bach kar, sab ki marzi k khilaaf
Wo tera chori chhupe ratoN ko aanaa yaad hai
Aa gaya gar wasl ki shab bhi kahiN zikr E firaaq
Woh tera ro ro k mujhko bhi rulaana yaad hai
Do-pahar ki dhoop meN mere bulane ke liye
Woh tera koThe pe nange paoN aana yaad hai
Aaj tak nazroN men hai wo sohbat E raz O neyaz
Apna jaana yaad hai, tera bulaana yaad hai
Mithi mithi cheR kar baateN niraali pyaar ki
Zikr dushman ka wo batoN men uRaana yaad hai
Dekhna mujhko jo barghushta to sau sau naaz se
Jab mana lena to phir, kud rooTh jaana yaad hai
Chori chori hum se tum aa kar mile the jis jagah
MuddateiN guzriN par ab tak wo thikaana yaad hai
Shauq men menhdi k wo be-dast-o-pa hona tera
Aur mera wo chheRna, wo gudgudana yaad hai
Ba-wajood E iddaaye itteqa ‘Hasrat’ mujhe
Aaj tak ahd E hawas ka wo fasaana yaad hai

ab kis kaa jashn manaate ho us des kaa jo taqseem huaa
ab kis ke geet sunaate ho us tan-man kaa jo do-neem huaa
us Khvaab kaa jo rezaa rezaa un aaNkhon ki taqadir huaa
us naam kaa jo TukaDaa TukaDaa galiyon men be-tauqir huaa
us parcham kaa jis ki hurmat baazaaron men nilaam hu_i
us miTTi kaa jis ki hurmat mansuub uduu ke naam hu_i
us jang ko jo tum haar chuke us rasm kaa jo jaari bhi nahin
us zaKhm kaa jo sine pe na thaa us jaan kaa jo vaari bhi nahin
us Khuun kaa jo bad_qismat thaa raahon men bahaayaa tan men rahaa
us phuul kaa jo beqimat thaa aaNgan men khilaa yaa ban men rahaa
us mashriq kaa jis ko tum ne neze ki ani marham samajhaa
us maGarib kaa jis ko tum ne jitana bhi luuTaa kam samajhaa
un maasuumon kaa jin ke lahuu se tum ne farozaaN raaten kin
yaa un mazaluumon kaa jis se Khanjar ki zubaaN men baaten kin
us mariyam kaa jis ki iffat luTati hai bhare baazaaron men
us isaa kaa jo qaatil hai aur shaamil hai Gam_Khvaaron men
in nauhaagaron kaa jin ne hamen Khud qatl kiyaa Khud rote hain
aise bhi kahin dam_saaz hue aise jallaad bhi hote hain
un bhuuke nange DhaaNchon kaa jo raqs sar-e-baazaar karen
yaa un zaalim qazzaaqon kaa jo bhes badal kar vaar karen
yaa un JhuuTe iqaraaron kaa jo aaj talak aifaa na hue
yaa un bebas laachaaron kaa jo aur bhi dukh kaa nishaanaa hue
is shaahi kaa jo dast-ba-dast aa_i hai tumhaare hisse men
kyon nang-e-vatan ki baat karo kyaa rakhaa hai is qisse men
aaNkhon men chhupaaye ashkon ko honThon men vafaa ke bol liye
is jashn men bhi shaamil huuN nauhon se bharaa kashkol liye
Ahmad faraz

Muhaasra – Nazam | Ahmed Faraz | mere ghanim ne mujh ko payam bheja hai

mere ghanim ne mujh ko payam bheja hai
ki halqa-zan hain mere gird lashkari us ke

fasil-e-shahr ke har burj har manare par
kaman-ba-dast sitada hain askari us ke

Sitare Jo Damakte Hain Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein

Sitare Jo Damakte Hain
Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein

Mulaqaten Jo hoti Hain
Jamal-e-Abr-o-Baran Mein

Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare

Shayed Yeh Zarf Hai Jo Khamosh Hun Ab Tak
Warna To Tere Aeib Bhi Maloom Hain Saare

Sub Jurm Meri Zaat Se Mansoob Howy "Mohsin"
Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare

KHwab ki tarah bikhar jaane ko ji chahta hai

khvab ki tarah bikhar jaane ko ji chahta hai 
aisi tanhai ki mar jaane ko ji chahta hai 

ghar ki vahshat se larazta huun magar jaane kyuun 
shaam hoti hai to ghar jaane ko ji chahta hai 

Chalo ab aisa karte hain sitaarey baant lete hain

Chalo ab aisa karte hain sitaarey baant lete hain.
Zarurat ke mutabiq hum saharey baant lete hain.

Mohabat karne walon ki tijaarat bhi anokhi hai,
Munaafa chhor detey hain khasaarey baant lete hain.

ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasana hai

ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasana hai
simTe to dil-e-ashiq phaile to zamana hai

ye aur baat hai tujh se gila nahin karte 

ye aur baat hai tujh se gila nahin karte 
jo zakhm tu ne diye hain bhara nahin karte 

Mat qatl karo awaz ko

tum apne aqidon ke neze
har dil men utare jaate ho

ham log mohabbat vaale hain
tum ḳhanjar kyuun lahrate ho

Ab kahan dhoondhne jaoge hamaare Qaatil

Ab kahan dhoondhne jaoge hamaare Qaatil
Aap to qatl ka ilzaam hami par rakh do

Hum Dekhenge, Hum Bhi Dekhenge

Laazim hai ke hum bhi dekhenge
Wo din ki jis ka vaada hai

Tu Shaheen hain Basera Kar Pahadon ki Chattano Par

Nahin Tera Nasheman Qasr-e-Sultani Ke Gunbad Par
Tu Shaheen Hai, Basera Kar Paharon Ki Chatanon Mein

Hasbi rabbi jallallah ma fi qalbi ghairullah

Hasbi rabbi jallallah ma fi qalbi ghairullah
Noor-e-Muhammad sallalla laailaha illallah

In Barishon Se Dosti Achi Nahi FARAZ,

In Barishon Se Dosti Achi Nahi FARAZ,
Kacha Tera Makan Hai Kuch To Khayal kar.

Kisi ke baap ka HINDUSTAN thodi hai

Jo aaj sahib-e-masnad hai kal nahi honge,
Kiraaye daar hain zaati makaan thodi hai,

Tere Ishq Ki Intaha Chahta Hun (Bang-e-Dra)

Tere Ishq Ki Inteha Chahta Hoon
Meri Sadgi Dekh Kya Chahta Hoon